[ Prefr ] App Se Loan Kaise Le | How To Apply For Loan In Prefr App | Instant Personal Loan App 2022

Prefr loan app se loan kaise le ? Ye sakal kafi logo ka hota hai , par loan ki prkriya aaj ke samay mai bohot jyada asan ho chuki hai. Wese dekha jaye to market mai bohot sari apps aa chuki hai jo apko kam se kam samay mai loan dene ka dawa karti hai , parantu sabhi apps apne waade par kayam nahi reh paati.
Par ye app apko instant loan ka feature provide karti hai , jiski sahayata se aap kam se kam samay mai , bahut se kaamo ke liye loan prapt kar sakte hai.
PlayStore par sekdo loan app hai , par mai sirf apko isi loan aap ke baare mai kyu bata raha hu ? Iska saral jawab hai ki ye app market mai bilkul nayi aai hai , or log iske baare mai Janna chahte hai . Or Kai logo ka yah bhi sawal hai ye ye ek trustable loan app hai ya nahi ?
In sabhi sawalo ka jawab apko , aaj ke is blog article mai padhne ko milega.

Prefr-App-Se-Loan-Kaise-Le



Prefr Instant Loan App ?

Prefr ek personal loan app hai , jo apko kam se kam time mai loan dene mai madad karti hai , iske alawa , yah app apko or bhi kayi suvidhaye deta hai jaise Credit Score ki jankari, Insurance ki suvidha, Loan For Self-Employed Or Loan For Salaried person. Par iski marketing Jyadatar Personal Loan App ke naam se ki jaati hai.

Prefr Person Loan Se Ham Kya Kya Kar Sakte Hai ? 

Personal loan ka istemal ham bahut se alag alag kaamo mai kar sakte hai jaise Ghoomne jaane ke liye, Ghar banwane ke liye, Personal Emergency ke liye, Health Emergency ke liye etc.
In chijo mai aap personal loan ka istemal kar sakte hai, iske alawa aap bohot se tariko se iska Istemal kar sakte hai.
Loan apps loan amount usage se koi matlab nahi hota , unka pura focus apne peso ko recover karne mai or usme sath interest lene mai hota hai.

Prefr App Se Loan Kaise Le ?

Aajkal loan lena bahut jyada aasan ho chuka hai , jiske liye apko jyada pareshan hone ki jarurat nahi hai. Prefr aap se bhi aap bahut asani se loan ke liye apply kar sakte hai.

Step 1. Pahle apko app ko download karna hoga, jiske baad app ko open karna hoga.
Step 2. Simply apko Prefr app mai login karna paega , jiske liye aap apne phone number ka istemal kar sakte hai.
Step 3. Phir apko apni kuch personal basic details dalni hogi .
Step 4. Jiske baad aap loan apply ka option milega, waha aap loan amount or tenure time select karke , loan ke apply kar sakte hai .

Prefr ek instant loan app hai, isliye loan apply hone ke adhe ghante baad ya phir 24 ghante ke ander kabhi bhi apka loan approve ho sakta hai.

Prefr App Mai Konse Documents Lagte Hai ?

Wese to aap bohot Kam documents se aajkal loan ke liye apply kar sakte hai, or ye ek paper free loan app hai , jaha apko kisi prakar ke papers physically dikhane ki jarurat nahi hoti.

Aadhar Card
PAN Card
Salary Slip
Bank Account Statement

Prefr App Se Kitna Loan Le Sakte Hai ? 

Prefr app se aap ₹10,000 se lekar ₹300,000 tak ka loan le sakte ho.

Prefr App Se Kitne Mahino Ke Liye Loan Le Sakte Hai ?

Is app se app kam se kam 6 mahine tak ka loan le sakte hai or jyada se jyada 36 mahine tak ka loan available kar sakte hai.

Prefr App Mai Kitna Interest Rate Hai ?

Interest rate apko saal ka 18% se 36% tak dena pad sakta hai , or interest rate apke cibil score par bhi depend karta hai. Agar apka cibil score hoga to apko kam se kam interest rate par loan provide kar diya jaega.

Prefr App Mai Processing Fee Kitni Lagti Hai ?

Is app mai apko 3% se lekar 5% tak processing fee Deni padti hai, or yah fees apke profile par bahut jyada depend karti hai.

Prefr App Se Loan Lene Ki Eligibility Kya Hai ?

Prefr App se loan lene ke liye apko inki eligibility ke sath fit hona jaruri hai, dekha jaye to eligibility bohot jyada nahi hai.

- Apko India Ka Citizen Hona Jaruri Hai
- Aap 18 Varsh Ya 18 Varsh Se Adhik Aayu Ke Hone Chahiye.
- Aapke paas ek income ka source hona chahiye , jiski sahayata se aap loan ka refund doge.

Prefr Loan Ko Close Kaise Kare ?

Agar aap prefer app se liye gaye loan ko close karna chahte hai to apko kuch chijo ko samjhna bahut, jaruri hai. 
Pahle case mai aap loan amount ko tenure time ke sath bharde.
Dusre case mai agar aap ek sath baki bache hue peso dena chahte ho to apko , Prefr Loan app se direct contact karna hoga , wahi apko puri jankari denge.

Prefr App Contact Details - 

Aap inhe email ya phir inke address par jakar contact kar sakte hai.

Prefr Email Address - info@prefr.com
Prefr Office Address - 2nd Floor, Block 2, My home Hub, Hitech City, Hyderabad , Telangana 500081

Prefr Loan App Real Hai Ya Fake ?

Prefr ek real or legit loan hai , jo apko kam samay mai Personal Loan provide karwati hai. Is app ki rating PlayStore par 4.0 star hai out of 5.0 stars. Inke reviews bhi kafi ache dekhne ko milte hai. Aap bina kisi tention se is app se loan le sakte hai , agar apko kisi prakar ki samasya aaye to aap , inse aasani se contact bhi kar sakte hai.

Loan Lete Samay Kin Chijo Ka Dhyan Rakhe ?

Agar aap kabhi bhi online loan ke liye apply kar rahe hai to apko kuch chijo ka dhyan rakhna chahiye jaise -

1. Company Or App SEBI Registered honi chahiye.
2. Jis App se aap loan ke liye apply kar rahe hai unke term & conditions ko dhyan se padhe , kyuki Kai baar wo apke personal data ko lene ka dawa karti hai.

Post a Comment

0 Comments