Ring Pay Later, yeh ek prakar ka pay later application hai, ye app kuch mahino pahle launch hua , is app ka mukhya udheshya users ko kam samay ke liye loan dene ka hai. Ring Pay later, market mai bilkul naye tarike ka application hai. Is app se alawa bhi market mai bohot sare pay later apps hai, Jo apko 15 din se lekar 3 mahine tak ka short term loan provide karti hai.
Ring Pay later, aap sabhi users ko Play Store par available mil jaegi, jaha se app badi aasani se is app ko download kar sakte ho.
Aaj ke is blog ka mukhya udheshya logo ka yah bata hai, kis prakar aap Ring Pay Later app se loan le sakte hai ? Ring Pay Later Mai Kitna Interest Lagta Hai ? Ring Pay Later Account Mai Konse Documents Lagte Hai or iske alawa ham janenge ? Ring Pay Later Merchant payment problem ? ke bare mai.
Mera aapse nivedan hai , aap is blog ko pura padhe taki aap kisi jankari se vanchhit na reh jaye, financial chijo mai attention dena bohot jaruri chij hoti hai, kyuki finance mai apki ek choti si galti aap ka pura kaam kharab kar sakti hai.
Sabse pahle mai apko bataunga akhir pay later apps aajkal itna trend kyu kar hai ?
Pay later apps aapse bohot kam documents lekar apko paise provide karwa deti hai, bohot baar to Pay Later apps apse PAN Card tak nahi leti hai.
Yahi ek bada karan hai jiski wajah se log Pay Later ki taraf bohot jyada attract ho rahe hai. Pay Later apps ki sankhya to bohot hai, par kuch hi ese Pay Later apps hai jinki service bohot achi hai, un apps mai se ek app Simpl bhi hai. Simpl app bhi ek Pay Later app hai, jiski sahayta se app , bohot sare Simpl supported sites par shopping kar sakte hai.
Ring Pay Later app kuch naye or special features ke sath launch hua, yahi special chije is app ko or jyada sepcial banati hai.
Is blog mai, apko yah bhi pata chal jaega akhir kyu ye app baki or Pay Later apps se alag hai.
Ring Pay Later App Kya Hai ?
Pay Later ek angrezi ka sabd hai , jiska matlab ' baad mai paiso ka bhugtan karna ' hota hai. Ji ha jis prakar iska naam hai , wahi iska main kaam hai , app is app ki sahayta se Ring Pay Later supported sites or merchent par shopping kar sakte hai.
Jab aap shopping ya kisi service ka use karoge to apko kisi prakar ka payment apni taraf se nahi karna hoga, wo payment apke Ring Pay Later app se cut kar li jaegi.
Or jitne ki aap ne shopping ya phir service use Kari hogi utne rupay apko is app ko 15 dino baad wapas karna hoga, isiliye ise pay later kahte hai, matlab aap abhi shopping kar sakte ho or baad mai payment kar sakte ho.
Ring Pay Later ek RBI registered app hai, jiske karan aap is app se bina dare loan le sakte hai ya shopping kar sakte hai.
Ring Pay Later App Ki Limit Kaise Badhaye ?
Is app mai ya phir kisi bhi pay later app mai limit badhana bohot aasan hota hai, iske liye apko time par li hui amount ki payment karni hoti hai.
Agar aap time se pahle inke pese pay kar doge to ye apke limit ko bohot jaldi badha degi. Hamesha koshish kare ki aap 10 din se pahle payment kar de, taki apka bill payment ka performance acha rahe.
Ye chije apki limit badhane mai bohot jyada madad karti hai.
Ring Pay Later App Mai Konse Documents Lagte Hai ?
- Phone Number
- Aadhar Card or PAN Card
- Selfie
- Phone Location
- Some Basic Details Like Email, Name , DOB
Ring Pay Later Unique Pay Later App Kyu Hai ?
Market mai bohot se Pay Later apps available hai, par aap un sabhi apps se selected merchents or sites par hi payment kar sakte hai, par Ring Pay Later ki sahayta se app kisi bhi barcode par payment kar sakte hai, or yahi wo sepcial feature hai, jo is app ko baki or sabhi Pay Later apps se laga banati hai.
Aap is app ki madad se kisi bhi merchant ka barcode scan karne payment kar sakte hai.
Ring Pay Later App Se Loan Kaise Le ?
Is app se loan lena bohot aasan hai, kyuki yaha apko bohot jyada documents ya approval lene ki jarurat nahi hai. Aap kuch hi documents mai is app ke ander enter kar sakte hai, or inki service use kar sakte hai.
Steps to get loan from Ring Pay Later:
- Pahle apko is app ko Play Store se download karna hai.
- Phir starting mai apko kisi bhi payment barcode ko scan karna hai , phir aap next step par chale jaenge.
- Uske baad apko is app mai I'd signup karna hai .
- Signup aap email I'd or phone number se kar sakte hai.
- Phir apko apni basic details dalni hogi , jaha apko Name , DOB , Email I'd dalna hoga.
- Phir apko apna adhar card verify karwana hoga, apka Aadhar Card DigiLocker se verify hoga, phir apko apni selfie upload karni hogi.
- Ye sab karne ke baad aap apko apki limit ke hisaab se Total Limit Credit diya jaega.
- Apko 1000 se lekar 5000 tak ki limit mil sakti hai.
- Phir aap in peso ka use kahi bhi kar sakte hai .
- Or agar apko cash chahiye to apko, kisi merchant ko pay karke unse aap paise maang sakte ho.
- Is aap mai apki pehli transaction free hogi.
- Phir baki sabhi par apko 3% charge dena hoga
- loan lene ka time fix nahi hai , pahle apko 15 din tak k liye time milega, par timely payment par apke loan lene ka time badha diya jaega.
- Processing fee apki sirf 3% hi hogi or agar apka tenure time lamba hoga to apko ek bar 50 rupay ka initiation fee dena hoga.
- Agar aap kuch din ke liye lenge to apko sirf 3% processing fee hi deni hogi.
- 0% interest rate
Ring Pay Later Interest Rate & Processing Fee :
- Interest Rate 0%
- Pressing Fee 3% Of Total Loan Amount
- Initiation Fee 50 Rupees
Ring Pay Later Eligibility Or Criteria Kya Hai ?
- Age 21
- Salary 1200
- PAN Card
- Indian Resident Only
-Aadhar Card
Ring Pay Later Real Or Fake ?
Ye ek real Pay Later app, jo apko bina interest ke paise loan par deti hai. Ye ek RBI registered app hai , or aap is app ko Play Store se download kar sakte hai , Play Store par iski users rating bohot achi hai or reviews bhi bohot ache hai.
Ring Pay Later Payment Failed :
WE ARE CURRENTLY ALLOWING PAYMENT ONLY AT RING MERCHANT STORE.
Aap logo ko bhi payment failed ki problem dekhne ko mil sakti hai, ise sahi karne ke liye apko Ideo Pay merchant par payment karni hogi, jiske baad aap asani se kahi bhi payment kar payenge.
Jyada jankari ke liye aap customer support se bhi baat kar sakte hai .
Customer support aap email or whatsapp se le sakte hai . Ye dono chije aap ko app ke ander mil jaegi.
0 Comments