Store per aisi bahut sari loan application a chuki hai jo aapke sath froad ya fir scam kar sakti hai, isliye kabhi bhi loan lete samay yah dhyan rakhiye ki aapki jo loan application hai vah bilkul real honi chahie.
Aaj kis blog mein ham janenge PlayStore per aisi kaun kaun si application hai Jo ek froad loan application hai, aur sath hi sath mein vah kaun se step se jiski sahayata se aap khud bhi pata laga sakte hain ki yah ek fake loan application hai ya fir real application hai.
Aaj ke samay mein loan lena to bahut jyada aasan ho chuka hai, parantu iske sath hi sath mein digital scam ki sankhya bhi din pratidin badhati ja rahi hai aur scammers iska bahut jyada fayda utha rahe hain.
Yah fake loans appa aapse processing fees ke naam per scam karti hai, vaise to yah application aapko upar se dekhne mein puri real lagegi, per jab aap is application ke andar jakar loan ke liye apply karenge to yah aapse ek chhote si processing fees mangegi.
Yeh fake application aapse processing fee ke naam per 500,600 rupay le sakti hai. Kai logon Ko lagta hai ki processing fee lene ke bad yah application aapko loan de degi, per aisa kuchh hota nahin hai.
Fake Loan App Ka Pata Kaise Lagaye ?
Play Store per aapko bahut sari loan ki applications mil jayegi per sari applications real nahin hai unmen bahut sari aisi application hai jo aapke sath is kam bhi kar sakti hai isliye is blog mein main aapko bataunga aap kis tarike se pata kar sakte hain kaun si loan application Real hai aur kaun si loan application fake hai.
Steps To Know Which Loan Application Is Fake :
1. Sabse pahle aapko , us app ko PlayStore par search karna hai.
2. Phir apko us app ke review padhne hai .
3. Review mai agar apko foreigners names se, reviews ko dekhne ko milenge to aap samjah Jana, wo ek fake loan application hai.
4. Yah application PlayStore par fake reviews karwati hai, inki rating apko achi dekhne ko mil sakti hai , par inke reviews mai jakar reviews jarur dekhna , kyuki ye bot ke reviews lete hai, jo ek prakar ka fake review hota hai.
5. Phir apko reviews mai , see all reviews ka option milega , jaha apko click karna hai .
6. See all reviews mai apko positive review or critical review ka option mil jaega .
7. Positive review mai apko foreigners logo ke ache comments mil sakte hai , ya phir Indian logo ke bhi ache comments mil sakte hai.
8. Par apko critical reviews par Jana hai , jaha apko us fake loan app ki puri details mil jaegi, waha apko real users ke dwara , us app ke khilaf real critical comments mil jaenge.
9. In chijo ke alwa apko in application se rating stars ko dekhna chaiye, aap koshish kare 4+ ratings se kam wali application se loan na le , kyuki ye applications apko galat tarike se loan de sakti hai , ya phir apke sath scam kar sakti hai or apke personal data tak ko chori kar sakti hai.
10. 4+ ratings wali loan application bhi fake ho sakti hai, isliye apko reviews jarur padhna chahiye, un apps ke positive or critical reviews.
11. Ek chij ka or dhyan rakhe, ye fake loan application apna ad PlayStore run karwati hai, taki logo ko lage ki yeh ek real app hai. Real or fake loan apps dono ki ad apko dekhne ko mil sakti hai.
12. Or bhi jyada jankari ke liye app un apps se bare mai Google ya Youtube par reviews bhi check kar sakte hai.
Maine apko bohot points bataye, agar aap in chijo ka dhyan rakh kar loan app ko download karenge to app kisi prakar ki samasya mai nahi padoge, Digital India mai scam hona ab aam baat ho chuki , log alag alag tarike se apke sath scam kar sakte hai .
Ab mai apke sath kuch fake loan apps ki list share karunga , jo abhi PlayStore par available hai or masoom logo ke sath scam karti aa rahi hai, aaj ke samay mai logo ne digital kaam karna to seekh liya hai, par fake or real chij mai research karna abhi tak nahi jana hai.
Logo ka digital scam ke prati jagarukta bhi bahut jaruri hai , agar aap Janna chahte hai, kis kis prakar se apke sath digital scam ho sakta hai uske liye aap YouTube par search kar sakte hai ' Digital Scam By convey by finnovationz ' .
Sabse top wali video ko dekhkar aap digital jagaruk janta ban sakte hai.
Fake Loan Applications List :
GbLend
Safety Loan - Cash Online
One Cash - Credit Online
CashBusNew
Yes Cash - Instant Flexi Loan
InstaMoney - Personal Loan App
Handy Loan
Coin Cash
Incolor Rupee
Rupee Park
Cash Advance
Swift Loan
Ye sabhi kuch fake loan application ki list hai, jo abhi bhi PlayStore par available hai, yeh apps masoom logo ka pesa loot rahi hai , ye list to bahut choti hai , hazaro ki matra mai apko PlayStore par fake loan application mil jayengi.
Ye applications loan dene ke naam par aam logo se processing fee ke bahane se 200, 300, 400, 500, 600, etc ka fraud karti hai.
Uske alawa ye apps apko loan dete samay bohot jyada interest rate laga deti hai, ye log app mai kuch or interest rate batate hai, par loan lete ke baad ye apka interest rate badha dete hai.
Conclusion:
Jo loan application real hoti hai , wo apse kisi prakar ki professor fee nahi leti hai , processing fee apke loan amount mai se kaat Li jati hai. Yah fee apko alag se nahi deni hoti. Uske alawa real loan apps apko sari details apne app se ander sahi se deti hai, jo chij wo apne app mai mentioned karti hai wahi chij apko deti hai.
0 Comments