Tata Capital App Se Home Loan Kaise Le? Tata Capital App Se Loan Kaise Le

Namaskar doston aaj ke is blog mein ham baat karenge, kis Prakar se ham Tata capital App se loan le sakte hain vah bhi bahut Aasan tarike se. Tata capital ek trustable loan app hai jo aapko kam se kam samay Mein home loan provide karta hai yah app alag alag tarike ke loan provide karta hai jaise personal loan, home loan, education loan, property loan etc. 
Vaise to market mein bahut sari loan application hai per har kisi per vishwas karna sahi nahin rahata. Isliye is blog ki sahayata se aap log Jaan kayenge Kaise aap Tata capital application ki sahayata se bahut hi kam samay mein spne sapne ko pura karne ke liye home loan se sakte hain. 

Aaj ke samay mein kaun ghar nahin banana chahta, parantu har kisi Ke pass utna paisa nahin hota ki vah ek bar mein apna ghar banaa Le per fir bhi bahut se middle class log ya fir usse niche wale log bhi loan ki sahayata se ghar banate hain. Per market mein dekha jaaye to bahut hi aisi kam application hai jo aapko kam se kam samay mein aur kam document mein aapko home loan provide kar sake. 

Ek ghar banane mein lakhon ya fir karodon rupaye kharch ho jaate hain parantu har kisi middle class ke pass itna paisa nahin hota. Vah chahta hai ki loan lekar ve apne ghar ko taiyar kar sake per har jagah per loan milna uplabdh nahin ho pata hai, isliye market mein Aisi application aati hai jo aapko India mein kahin bhi loan provide karva paati hai, unmen Se Hi Tata Capital ek aisi application hai jo aapko home loan ke sath alag alag prakar ke loan provide karvati hai. 

Tata-Capital-Loan-App



Is blog mein ham janenge kis prakar se aap Tata Capital se home loan le sakte hain, aur kaun kaun se document aapko dene padenge, Iske alava ismein aapko Kitna interest rate Dena padega, aur iski kya kya criteria hai. 

Tata Capital App Kya Hai? 

Tata capital ek loan app hai jo aapko kam se kam samay mein aasani se loan uplabdh karvati hai is application ke andar aapko bahut sari feature mil jaate hain yah home loan ke alava aur bhi tarike ke loan provide karvati Hai Jaise. 

- Home Loan
- Personal Loan
- Education Loan 
- Business Loan
- Wedding Loan
- Travel Loan
- Loan Against Property
- Vehicle Loan

Yah application aapko mushkil samay mein bahut jyada help kar sakti hai, kyunki yah aapko education loan, home loan, personal loan, ityadi provide karvati hai. 

Yah app aapko loan ke sath sath mein investment karne ki bhi tips deti hai, aap monefy ke through investment bhi kar sakte hain. 

Tata Capital App Se Loan Ke Liye Kaise Apply Kare? 

Tata Capital apps loan lena bahut jyada aasan hai yahan per aapko bus chhote se step follow Karne hain Jiske bad aap loan le sakte hain, yah loan amount aapke khate ke andar credit kar diya jaega, credit karne se pahle yah aapse kisi prakar ka charge nahin lenge aur jo bhi charge hoga vah aapke loan amount se Kat liya jaega. 

- Sabse pahle apko Tata Capital app ko download karna hai. 
- Phir apko is app mai Log in karna hoga. 
- Login ke baad apko apni basic details daalni hogi. 
- Uske baad apko loan amount or loan kitne mahine ke liue chaiye wo dalna hai. 
- Or basic details ke sath apko continue karna hai, jiske baad aap loan ke liye eligible ho paenge. 

Tata Capital App Ke Features -

Apko is app ke ander loan ke alawa bhi kuch special features provide ki jati hai -

- Fingerprint / Face ID Log in
- Free Credit Score Check
- Instant Account Details Le Paenge Aap Sirf Fingerprint Touch Karne Se
- Free Of Cost EMI Calculator

Tata Capital App Mai Konse Documents Lagte Hai? 

Pahle loan lena bahut jyada mushkil ho jata tha, per aaj ke time mein loan lena ek app download karne ke barabar hai kyunki yah paperless process hota hai jahan aapko sirf basic detail dalkar loan lena Aasan ho jata hai. 

- Salary Sleep
- Selfie
- Aadhar Card
- 3 Months Bank Transaction Photo With Salary Credit

Tata Capital App Mai Kitna Interest Rate Hai or Kitne Mahino Ke Liye Loan Le Sakte Hai? 

Is aap mai personal loan or home loan ke alag alag interest rate hai. 

Home Loan Interest Rate In Tata Capital App - 

-30 Saal Tak Ke Liye Aap Home Loan Le Sakte Hai. 
-Apko Collateral Free Loan Diya Jaega. 
- Interest Rate 6.85% Hai Tata Capital App Mai. 
- Apply Karte Samay Ek Bar Apko Processing Fee Deni Hogi. 
- Aap is app mai home loan emi calculator se sari chije jaan sakte hai. 

Personal Loan Interest Rate In Tata Capital App -

- Persont Loan APR 26% Par Milega. Or Competitive Interest Rate 10.99% Par Mil Jaega Apko
- Aap Personal Loan 12 Se 84 Mahine Tak Ke Liye Le Sakte Hai. 
- 35 Lakh Tak Ka Personal Loan Le Sakte Hai , Wo Bhi Bina Collateral Ke. 

Tata Capital App Real Or Fake -

Tata Capital ek loan app hai, ye ek real app hai, is app par aap ankh band karke bharosa kar sakte hai, kyuki ye app Tata company ke dwaara chalaya ja raha hai. Or Jesa ki apko pata hoga Ratan Tata Ji, India ke kitne bade businessman hai. 
In chijo ke alawa bhi is ke playstore par 10 lakh se jyada downloads hai, or iski rating or reviews bhi bohot ache hai. 
Is app ke uper lakho logo ka bharosa hai. 

Loan Lete Samay Kya Dhyan Rakhe? 

Jab bhi aap kisi app se loan le, to us samay dhyan rakhe ki, jaha se bhi aap loan le rahe ho wo RBI registered app ho, taki agar aap future mai loan chukane mai asamarth rahenge to aap par ye apps ki companiyaan aap ke uper galat allegations na laga de. 
Jo app RBI registered nahi hoti, wo apke phone ke sare permission le leti hai phir badme uska loan recovery ke liye galat istemaal karti hai. 

- Kabhi bhi apko processing charge apni taraf se nahi dena chaiye, kyuki jo app apse processing charge ke paise leti hai, wo apke sath fraud kar sakti hai, jiske baad apke paise bhi chale jayenge or loan bhi nahi mil parga. Playstore par esi bohot app hai, wo is prakaar ke kaam karti hai, isliye loan lete waqt is chij ka dhyan jarur rakhe. 

Post a Comment

0 Comments