Acko App Se Health Insurance Kaise Karwaye? Acho Insurance App Kaise Use Kare

 Namaskar doston aap sabhi ka swagat hai aaj ke blog mein is blog mein ham baat karne wale hain kis prakar se aap Acko app se health insurance karva sakte hain. Acko ek insurance app hai jo aapko alag alag sectors ne insurance provide karvati hai. Aap Acko Insurance app se bahut prakar ke insurance le sakte hain jaise health insurance, car insurance, bike insurance aur employee health insurance. Acko app ek trust evil insurance app hai, inke pass 6.2 crore Indian customers ka support hai. Social media per inko bahut jyada positive review dekhne ko milte Hain iske alava Play Store per iske 10 lakh se jyada download se aur vahin rating ki baat karen to inko 4 plus rating di gai hai.

Acko-Health-Insurance


Health insurance lena bahut jyada jaruri ho chuka hai aaj ke samay mein kyunki, aaj ke samay mai kisi ko bhi kuch bhi ho jata hai or emergency ki wajah se ham log patient ko kisi bhi private hospitals mai le jate hai , jaha patient ki jaan to Bach jaati hai magar or hospital ka expense hota hai wo bohot jyada ho jata, jise pay karna har kisi k liye aasan nahi hota.

Inhi problem ko solve karne ke liye Acko jesi companies samne aati hai , jo hamari is samasya ko hal karti hai, Acko ne market mai apni alag level ki pehchan bana rakhi hai , Acko India's Ka 8th number pe sabse badi insurance company hai. Social media par Acko company ke positive ke sath sath negative reviews bhi dekhne ko milta hai, par Acko ne time to time apni services mai bohot sudhar Kiya hai.

Acko apne customer support ke liye bohot acha hai , aap ki query ki Acko jald se jald reply dene ki koshish karti hai. Acko sabhi social media handles par bohot active rehti hai.

Market mein dekha jaaye to bahut sari aisi application hai jo aapke sath froud bhi kar sakti hai, kyunki vah log policy ke andar kuchh aur dikhate hain aur aapko kuchh aur dete hain, isliye health insurance lete samay yah jarur dhyan rakhen ki vah ek legit company honi chahie, aur uske purane record bhi acche hone chahie iske liye aapko kuchh nahin karna hai, bus kuchh steps ko follow karna hai, like aapko use company ka naam Google per search karna hai uske reviews padhne Hain uske alava aap YouTube per bhi search karke uske reviews pad sakte hain.

Acko app ek bahut hi simple application hai jiski madad se aap health insurance kam se kam samay mein apply kar sakte hain, yahan per claim karna bhi bahut jyada aasan ho jata hai kyunki yahan per aapko customer support bahut achcha dekhne Ko milta hai.


Acko Insurance App Kya Hai ?

Ek prakar ki insurance application hai jo aapko Kai prakar ke insurance provide karti hai like health insurance, car insurance, bike insurance or employee health insurance.

Ek bahut hi iji tu use application hai jiska interface bahut jyada aasan hai aur yahan per insurance ke liye apply karna bahut jyada easy hai.

Acko insurance app bahut sari badi badi companies ko apne insurance deti hai like zomato swiggy etc. 


Acko Se Health Insurance Kaise Karwaye ?

Acko se Hlhealth insurance karvana bahut jyada aasan ho jata hai, kyunki iska interface bahut jyada easy hai. Aapko sabse pahle is app Ko download karna hai Play Store se uske bad aapko apna phone number verify karvana hai fir aapko kuchh permissions deni hai is application ko, uske bad aapke samne teen insurance dekhne Ko mil jaenge. Inki service 7100+ hospital mai provide ki jaati hai. Apko bas inko apne bills show karne honge, jiske baad aap asani se claim le payenge.

- Car Insurance

- Bike Insurance

- Health Insurance 

1. Insurance lene ke liye aapko Health Insurance ke upar click karna hai. Jahan aapko option milega, aap kiske liye health insurance lena chahte hain agar aap apne liye lena chahte hain to, aapko myself ke upar click karna hai, ya fir aapko kisi aur ke liye lena hai to vahan per aapko aur sare option dekhne Ko mil jaate hain.

2. Aapko vahan per apni date off birth dalni hai, fir aapko apne area ka pin code dalna hai, aur apna email adress bhi provide karna hoga.

3. Phir aap final step par aa jaenge, Jahan per aapko ₹12660 pay karne hain, Acko apko 1 Crore tak ka Health Insurance deti hai.

Acko zero waiting period provide karti hai , or day 1 se Acko apki sari chije cover karne lag jati hai.

Claim lete samay zero deduction fee li jati hai , matlab aap bina , fee pay kare claim ko le sakte hai.

Acko Insurance app Ko download karenge, aur apply karenge health Insurance ke liye, to aapko vahan per sari aur detail provide kar di jayegi.

Acko App Se Health Insurance Kaise Claim Kare ?

Acko se claim karna bohot asan hai, aap bina kisi hassle ke claim le sakte hai. 

Apko App Mai jakar register claim par click karna hai , jaha apko kuch basic details deni hogi . Like kya hua tha patient ko , kaise hua , bills proof , hospital details etc. 

Jiske baad apko Acko ki taraf se call aaegi, phir apko unhe sari chije sahi se batani hogi, yad rakhe ki aap koi galat information na de , isse apka claim fail bhi ho sakta hai .

Phir apka Sara bill Acko bharegi, wo hospital se contact karegi or apke bills ko pay kar degi.

Aap apne aas paas ke kisi bhi hospital mai apna ilaj karwa sakte hai, kyuki Acko kisi bhi hospital mai claim de deta hai 

Agar aap app mai apne area ke pincode ko fill karoge to, apko sayad hospitals dekhne ko na mile , par apko tention lene ki koi Jara nahi hai , aap apne paas ke kisi bhi hospital mai apna ilaj karwa sakte hai. Yeh chij app ke ander bhi mentioned hai.

Acko Insurance App Is Real Or Fraud ?

Acko insurance app ek legiti application hai kyunki yah app 6.2 crore Bhartiyo dwara istemal Kiya jata hai. Acko insurance bade bade companies ko bhi apne insurance provide karti hai jaise Zomato, Swiggy, Amazon, Myntra, Dunzo, Ola, Cred, Urban, Company or EaseMy Trip.

Is application ke Play Store ke upar 10 lakh se jyada download hai aur iskk rating 4.5 + ki hai. 

Yah application kam se kam samay mein aapke claim ko dilvaati hai. Yah dawa karti hai aap bina kisi faltu problem ke claim ko le payenge.






Post a Comment

0 Comments